vo  shoḳh  dil-o-jāñ  kī  tamannā  to  na  niklā
sho.ala  to  na  niklā  vo  sharārā  to  na  niklā
mahsūs  kiyā  dard  ke  har  ruup  meñ  us  ko
āvāz  kā  afsūñ  kabhī  jhūTā  to  na  niklā
mahrūmī-e-jāved  ne  donoñ  hī  ko  maarā
ye  rāz-e-mohabbat  koī  gahrā  to  na  niklā
ye  dil  kā  ḳharāba  hī  tirī  rāhguzar  thī
ka.aba  to  na  niklā  vo  kalīsā  to  na  niklā
vo  mere  muqaddar  kī  syāhī  thā  sarāpā
nūr-e-shab-e-mahtāb  sunahrā  to  na  niklā
ham  bhī  kisī  shīrīñ  ke  liye  ḳhāna-badar  the
farhād  rah-e-ishq  meñ  tanhā  to  na  niklā
is  meñ  tirī  ḳhalvat  kā  har  ik  rañg  hai  paayā
ye  chāñd  sar-e-charḳh  akelā  to  na  niklā
pahle  se  baḌhī  aur  ġham-e-ishq  kī  talḳhī
tū  bhī  mire  dam-sāz  masīhā  to  na  niklā
andāz-e-bayāñ  terā  'azīm'  aur  hī  kuchh  hai
dekhe  sabhī  fankār  pa  tujh  sā  to  na  niklā