āñkhoñ  meñ  us  kī  Duub  ke  ubhrā  nahīñ  huuñ  maiñ
jis  ne  bhulā  diyā  use  bhūlā  nahīñ  huuñ  maiñ
ab  lamha  lamha  apne  bikharne  kā  ḳhauf  hai
ġhunche  kī  tarah  band  huuñ  khultā  nahīñ  huuñ  maiñ
pīchhe  palaT  ke  dekhā  to  parchhā.īñ  bhī  na  thī
sochā  thā  rāh-e-shauq  meñ  tanhā  nahīñ  huuñ  maiñ
ye  sochtā  huuñ  kaise  rahūñgā  tumhāre  saath
aksar  to  apne  saath  bhī  rahtā  nahīñ  huuñ  maiñ
'fāḳhir'  isī  galī  meñ  milegā  dil-e-ḳharāb
lekin  ab  is  galī  se  guzartā  nahīñ  huuñ  maiñ