ik  ham  haiñ  gilā  karne  kī  himmat  nahīñ  karte
ik  tum  ho  ki  ḳhvāboñ  ko  haqīqat  nahīñ  karte
jaao  to  magar  aks  koī  chhoḌ  na  jaanā
ab  aa.ine  aksoñ  kī  hifāzat  nahīñ  karte
ab  chāñd  kā  armāñ  bhī  sar-e-shām  nahīñ  hai
āñkhoñ  ke  jharoke  bhī  shikāyat  nahīñ  karte
ham  dhuup  se  narmī  kī  umīdeñ  hī  rakhe  jaa.eñ
har-chand  ki  saa.e  bhī  muravvat  nahīñ  karte
rahrav  haiñ  har  ik  peḌ  se  mil  lete  haiñ  'fāḳhir'
saaya  nahīñ  miltā  to  shikāyat  nahīñ  karte