Ahmad Fakhir

siyah-raat pasheman hai ham-rakabi se

Ahmad Fakhir

siyāh-rāt pashemāñ hai ham-rakābī se
vo raushnī hai tire ġham kī māhtābī se
sabā ke haath hai ab izzat-e-nigāh mirī
chaman mahakne lagā gul kī be-hijābī se
farār un se hai mushkil vo dastaras meñ nahīñ
ye zard zard se mausam vo din gulābī se
lahū lahū nazar aatī hai shāḳh-e-gul mujh ko
khile vo phuul tirī taaza inqilābī se
ajab nahīñ hai ki pā jaa.eñ qāfile manzil
hamāre naqsh-e-qadam kī sitāra-tābī se
koī kitāb jo kholeñ to kyā paḌheñ 'fāḳhir'
khulīñ nigāh meñ chehre agar kitābī se
Top Urdushayar.com