Nushur Wahidi

dil hai ki mohabbat mein apna na paraya hai

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
dil hai ki mohabbat meñ apnā na parāyā hai
kuchh soch ke us ne bhī dīvāna banāyā hai
jo vaqt ki guzrā hai jazbāt ke kūche meñ
kuchh raas nahīñ aayā kuchh raas bhī aayā hai
āsāñ nahīñ ye aañsū aayā hai jo palkoñ par
rag rag se lahū le kar dīpak ye jalāyā hai
ik rabt-e-hasīñ dekhā be-rabtī-e-ālam meñ
hañgāma sahī lekin hañgāma sajāyā hai
pahchān liye ham ne tevar ġham-e-daurāñ ke
duniyā meñ rahā lekin dhokā nahīñ khāyā hai
rahbar ho ki shā.er ho kyā apnī ḳhabar us ko
ḳhud kuchh bhī nahīñ sīkhā duniyā ko sikhāyā hai
naġhma hai 'nushūr' apnā afsurda-e-ġham lekin
ehsās kī mahfil meñ kuchh rañg to aayā hai
Top Urdushayar.com