Asad Badayuni

nazar uTha ke jo dekha udhar koi bhi na tha

Asad Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1952-2003

nazar uThā ke jo dekhā udhar koī bhī na thā

sulagtī dhuup sarhad pe ghar koī bhī na thā

har ek jism thā ik poster shuāoñ

sulagte dasht meñ ThanDā shajar koī bhī na thā

chamakte din meñ to sab log saath the lekin

udaas shab meñ mirā ham-safar koī bhī na thā

har ek shahar meñ thā iztirāb aaseb

jahāñ sukūn ho aisā nagar koī bhī na thā

sabhī ko fann-e-jarāhat se vāqafiyyat thī

hamārī tarah vahāñ be-hunar koī bhī na thā

sab apne kamroñ meñ mastī niiñd so.e the

siyāh shab meñ sar rahguzar koī bhī na thā

jo talḳh shaam ke sāyoñ ko qatl kar detā

tamām-shahr meñ itnā niDar koī bhī na thā

mire zavāl sab ko thī aarzū 'as.ad'

mire kamāl se ḳhush-dil magar koī bhī na thā

Top Urdushayar.com