diloñ  par  ḳhauf  bhī  taarī  bahut  hai
magar  jañgoñ  kī  tayyārī  bahut  hai
ḳhirad  kī  bastiyoñ  ke  phūñkne  ko
junūñ  kī  ek  chiñgārī  bahut  hai
sabhī  zad  meñ  haiñ  dasht-o-koh-o-insāñ
ye  zarb-e-vaqt  hai  kaarī  bahut  hai
purānā  ḳhushk  pattā  kah  rahā  thā
havā  meñ  tez-raftārī  bahut  hai
ham  apne  dil  kī  duniyā  dekhte  haiñ
hameñ  ye  shaġhl-e-bekārī  bahut  hai
chale  ho  us  se  milne  par  ye  sun  lo
use  shauq-e-dil-āzārī  bahut  hai
nahīñ  hai  saath  rahnā  garche  āsāñ
bichhaḌne  meñ  bhī  dushvārī  bahut  hai