ḳhud  mujh  ko  bhī  ma.alūm  nahīñ  hai  ki  maiñ  kyā  huuñ
ab  tak  to  ḳhud  apnī  hī  nigāhoñ  se  chhupā  huuñ
hālāt  ke  narġhe  meñ  kuchh  is  tarah  ghirā  huuñ
mahsūs  ye  hotā  hai  tujhe  bhuul  chukā  huuñ
samjhā  thā  ki  rūdād  na.e  daur  kī  hogī
aayā  hai  tirā  naam  to  maiñ  chauñk  uThā  huuñ
shāyad  kabhī  bachpan  meñ  kahīñ  saath  rahā  hai
aa.ine  meñ  ik  shakl  ko  pahchān  rahā  huuñ
zulfoñ  ke  mahakte  hue  saa.e  kī  talab  meñ
taptī  huī  rāhoñ  pe  bahut  duur  gayā  huuñ
mahjūb  sā  tanhā.ī  kā  ehsās  khaḌā  hai
bistar  pe  baḌī  der  se  ḳhāmosh  paḌā  huuñ
ab  sochne  baiThā  huuñ  ki  masraf  mirā  kyā  hai
majbūr-e-mohabbat  huuñ  na  pāband-e-vafā  huuñ
suniye  to  'muzaffar'  kā  har  ik  sher  kahegā
maiñ  TuuTe  hue  saaz  kī  bechain  sadā  huuñ