kyā  vasl  kī  saa.at  ko  tarasne  ke  liye  thā
dil  shahr-e-tamannā  tire  basne  ke  liye  thā
sahrā  meñ  bagūloñ  kī  tarah  naach  rahā  huuñ
fitrat  se  maiñ  bādal  thā  barasne  ke  liye  thā
rotī  huī  ek  bhiiḌ  mire  gird  khaḌī  thī
shāyad  ye  tamāsha  mire  hañsne  ke  liye  thā
kuchh  raat  kā  ehsāñ  hai  na  sūraj  kā  karam  hai
ġhuncha  to  bahar-hāl  bikasne  ke  liye  thā
is  raah  se  guzrā  huuñ  jahāñ  saañs  na  de  saath
har  naqsh-e-kaf-e-pā  mire  Dasne  ke  liye  thā
har  qatra  mirī  aañkh  se  bahne  ko  thā  betāb
har  zarra  mire  paañv  jhulasne  ke  liye  thā