Muzaffar Hanfi

wo ek pal ka sath ba-waqt-e-namaz hai

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
vo ek pal kā saath ba-vaqt-e-namāz hai
mahmūd āsmāñ pe zamīñ par ayaaz hai
jiine meñ kyā kashish hai magar dekhte haiñ ham
kitnī tumhāre zulm kī rassī darāz hai
maanā ki iltifāt ke aadī nahīñ ho tum
lekin barā.e-mashq-e-sitam kyā javāz hai
us anjuman meñ baat nahīñ ban sakī magar
allāh ko sunā hai baḌā kārsāz hai
apnī kaho hamārī suno mashvara karo
ab kyā ġham-e-zamāna mohabbat kā raaz hai
apnī ġhalat vafā kī talāfī karūñgā maiñ
vo aur hoñge jin ko vafāoñ pe naaz hai
dilkash banā rahā hai 'muzaffar' kā ḳhaas rañg
hālāñki dāstān baḌī jāñ-gudāz hai
Top Urdushayar.com