Muzaffar Hanfi

pahle hum uski mahfil mein jaane se katrae to

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936

pahle ham us mahfil meñ jaane se katrā.e to

lekin kyā kiije jab dil shāmat aa jaa.e to

is jhagḌe meñ ham-sāyoñ daḳhl-andāzī vājib hai

buniyādī mauzūa yahī thā jaag paḌe ham-sā.e to

ġhazloñ meñ rañgīnī laane bābat phir sochūñgā

pahle ye batlā do us ne chhup kar tiir chalā.e to

ḳhud milne ḳhvāhish karnā albatta manzūr nahīñ

vaise ham kam-zarf nahīñ haiñ vo zahmat farmā.e to

apnā haq hāsil karne ḳhātir maiñ bhī chaltā huuñ

merā terā saath na hogā haath agar phailā.e to

us ḳhaslat bhāñp chukā huuñ bāteñ hañs kar Tālegā

aur yaqīnan baat banegī bātoñ par jhallā.e to

log 'muzaffar'-hanafī ko bhī pābandī se paḌhte haiñ

chiknī-chapḌī ġhazleñ paḌhte paḌhte uktā.e to

Top Urdushayar.com