nazar  nazar  ko  sāqī-e-hayāt  kahte  aa.e  haiñ
un  añkhḌiyoñ  ko  mai-kade  kī  raat  kahte  aa.e  haiñ
ba-chāshnī-e-ahd-e-nau  jo  baat  kahte  aa.e  haiñ
ġham-e-jahāñ  ko  dil  kī  kā.enāt  kahte  aa.e  haiñ
fareb-e-shauq  ko  taḳhaiyyulāt  kahte  aa.e  haiñ
bikhar  ga.e  to  gesuoñ  ko  raat  kahte  aa.e  haiñ
usī  ko  zindagī  kā  saaz  de  ke  mutma.in  huuñ  maiñ
vo  husn  jis  ko  husn-e-be-sabāt  kahte  aa.e  haiñ
ye  muḳhlisān-e-ishq  bhī  ajab  adā-parast  haiñ
vo  muskurā  diye  to  iltifāt  kahte  aa.e  haiñ
hayāt  tā-mamāt  ek  silsila  hai  ishq  kā
kahāñ  haiñ  vo  jo  marg  ko  najāt  kahte  aa.e  haiñ
na  zāhidoñ  ke  va.az-e-tark-e-ishq  par  hañse  koī
ye  be-ḳhabar  bhī  hausle  kī  baat  kahte  aa.e  haiñ
ye  zarf-e-bāda  kyā  hai  bāda-āshnā  se  pūchhiye
ham  is  ko  shīsha-e-tajalliyāt  kahte  aa.e  haiñ
ġhazal  hai  naam  husn  ke  muāmalāt-e-ḳhām  kā
ḳhatā  huī  ki  dilbaroñ  kī  baat  kahte  aa.e  haiñ
sukūn  o  ḳhvāb  zindagī  kī  raah  meñ  kahāñ  'nushūr'
hayāt  ko  musāfirat  kī  raat  kahte  aa.e  haiñ