Muzaffar Hanfi

ab du-ba-du tujhse baat howe

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936

ab dū-ba-dū tujh se baat hove

jo kuchh bhī hamāre saath hove

bāzīcha banī huī hai duniyā

chaal chale to maat hove

chehre pe girā ke apnī zulfeñ

hukm kare to raat hove

sharmā.e kaifiyat se labrez

paimāna kā.enāt hove

tujh nūr-sifāt ke muqābil

hove to hamārī zaat hove

hai qaid-e-hayāt pech-dar-pech

mar jaa.eñ agar najāt hove

vo sher kaho miyāñ-'muzaffar'

ā.īna shash-jahāt hove

Top Urdushayar.com