Muzaffar Hanfi

KHushk aankhon se nikal kar aasman par phail ja

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936

ḳhushk āñkhoñ se nikal kar āsmāñ par phail

ai ġhubār-e-ārzū tā-hadd-e-manzar phail

motiyoñ ābrueñ lūTne vaale bahut

siip ke qaidī samundar-dar-samundar phail

yuuñ palak par jagmagānā do ghaḌī aish hai

raushnī ban kar mire andar andar phail

aa mire siine se lag agar sailāb hai

aur ḳhushbū hai to bastī meñ ghar ghar phail

naqsh-e-pā pāmāl rāhoñ par lagā degā tujhe

rāste meñ gard mānind uḌ kar phail

Top Urdushayar.com