kyā  kartā  maiñ  ham-asroñ  ne  tanhā  mujh  par  chhoḌ  diyā
sab  ne  bosa  de  kar  sach  kā  bhārī  patthar  chhoḌ  diyā
Dhīlā  paḌtā  thā  suulī  kā  phandā  us  kī  gardan  par
mere  qātil  ko  munsif  ne  fidya  le  kar  chhoḌ  diyā
dariyā  ke  ruḳh  bahne  vaalī  machhlī  murda  machhlī  hai
us  kashtī  kī  ḳhair  nahīñ  hai  jis  ne  lañgar  chhoḌ  diyā
sho.aloñ  kī  is  hamdardī  par  dil  meñ  laavā  paktā  hai
jab  saarī  bastī  phūñkī  thī  kyuuñ  merā  ghar  chhoḌ  diyā
sūraj  ne  bhī  soch  samajh  kar  jaal  bichhā.e  kirnoñ  ke
shabnam  shabnam  Daaka  Daalā  aur  samundar  chhoḌ  diyā
saarā  ghar  sotā  hai  do  ghanTe  meñ  aa.egā  aḳhbār
aaj  'muzaffar'  pāñch  baje  hī  kaise  bistar  chhoḌ  diyā