shāmiyāne  mirī  ġhībat  meñ  havā  tāntī  hai
gaañv  meñ  mere  na  hone  se  baḌī  shāñtī  hai
vo  bagūlā  hai  ki  uḌne  pe  sadā  āmāda
maiñ  jo  miTTī  huuñ  to  miTTī  bhī  kahāñ  māntī  hai
dekhnā  kaise  humakne  lage  saare  patthar
merī  vahshat  ko  tumhārī  galī  pahchāntī  hai
phuul  bantī  hai  kalī  hañste-hañsāte  lekin
us  ke  dil  pe  jo  guzartī  hai  vahī  jāntī  hai
merī  koshish  hai  ki  duniyā  ko  banā  duuñ  firdaus
aur  duniyā  mujhe  nākāroñ  meñ  gardāntī  hai
ham  ko  ik  haal  meñ  qismat  nahīñ  rahne  detī
kabhī  miTTī  meñ  milātī  hai  kabhī  chhāntī  hai