Nushur Wahidi

pankhuDi koi gulistan se saba kya lai

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
pañkhuḌī koī gulistāñ se sabā kyā laa.ī
duur tak nik.hat-e-gul ḳhaak uḌātī aa.ī
uf vo begāna nigāhoñ kī karam-farmā.ī
fitrat-e-ishq ba-andāz-e-junūñ tharrā.ī
taaza taaza vo shikast-e-suḳhan-e-ra.anā.ī
chup hue vo to tabassum kī jhalak sī aa.ī
āḳhir-e-shab vo sitāroñ kī saraktī huī chhāñv
maiñ vahīñ baiTh gayā raat jahāñ lahrā.ī
jaagī jaagī huī palkeñ vo ba-āġhosh-e-jamāl
dil ko ārām ziyāda thā to kam niiñd aa.ī
vaqt ne zarf-e-nazar ko lab-e-mai-ḳhvār kiyā
tishnagī shīshe ko paimāna banā kar laa.ī
zindagī ek hujūm-e-guzarāñ hai lekin
aadmī apnī jagah ālam-e-sad-tanhā.ī
apne hī sho.la-e-rañgīñ se jalā dāman-e-gul
apnī hī shāḳh-e-tabassum pe kalī murjhā.ī
manzil-e-aql junūñ rañg use miltī hai
jis ne ik baar rah-e-ishq meñ Thokar khaa.ī
patte patte kā nahīñ gulshan-e-ālam meñ javāb
zarre zarre meñ dhaḌaktā hai dil-e-yaktā.ī
TūTtī sī rag-e-daurāñ ye taraqqī kī thakan
kisī ma.ashūq-e-sahar-ḳhez kī nīm-añgḌā.ī
ḳhaak aur ḳhuun se ik sham.a jalā.ī hai 'nushūr'
maut se ham ne bhī sīkhī hai hayāt-ārā.ī
Top Urdushayar.com