nahīñ  hai  are  ye  baġhāvat  nahīñ  hai
hameñ  sar  jhukāne  kī  aadat  nahīñ  hai
chhupā.e  hue  haiñ  vahī  log  ḳhanjar
jo  kahte  kisī  se  adāvat  nahīñ  hai
karūñ  kyā  paroñ  kā  agar  in  se  mujh  ko
falak  nāpne  kī  ijāzat  nahīñ  hai
uThā  kar  girānā  girā  kar  miTānā
hamāre  yahāñ  kī  rivāyat  nahīñ  hai
milā  kar  nigāheñ  jhukāte  jo  gardan
vahī  kah  rahe  haiñ  mohabbat  nahīñ  hai
bahut  kar  lī  pahle  zamāne  se  ham  ne
hameñ  ab  kisī  se  shikāyat  nahīñ  hai
kaho  kyā  karoge  ghaTāoñ  kā  'nīraj'
agar  bhiig  jaane  kī  chāhat  nahīñ  hai