ba.ad  muddat  ke  vo  milā  hai  mujhe
Dar  judā.ī  kā  phir  lagā  hai  mujhe
aa  gayā  huuñ  maiñ  dastaras  meñ  tirī
apne  anjām  kā  pata  hai  mujhe
kyā  karūñ  ye  kabhī  nahīñ  kahtā
jo  karūñ  us  pe  Toktā  hai  mujhe
tujh  se  mil  ke  maiñ  jab  se  aayā  huuñ
har  koī  muḌ  ke  dekhtā  hai  mujhe
ab  talak  kuchh  varaq  hī  palTe  haiñ
tujh  ko  jī  bhar  ke  bāñchnā  hai  mujhe
Thokareñ  jab  kabhī  maiñ  khātā  huuñ
kaun  hai  vo  jo  thāmtā  hai  mujhe
sochtā  huuñ  ye  soch  kar  maiñ  use
vo  bhī  aise  hī  sochtā  hai  mujhe
maiñ  tujhe  kis  tarah  bayān  karūñ
ye  karishma  to  sīkhnā  hai  mujhe
niiñd  meñ  chal  rahā  thā  maiñ  'nīraj'
tū  ne  aa  kar  jagā  diyā  hai  mujhe