idhar  ye  zabāñ  kuchh  batātī  nahīñ  hai
udhar  aañkh  kuchh  bhī  chhupātī  nahīñ  hai
pata  hai  rihā.ī  kī  dushvāriyāñ  par
ye  qaid-e-qafas  bhī  to  bhātī  nahīñ  hai
kamī  rah  ga.ī  hogī  kuchh  to  kashish  meñ
sadā  lauT  kar  yuuñ  hī  aatī  nahīñ  hai
mujhe  raas  vīrāniyāñ  aa  ga.ī  haiñ
tirī  yaad  bhī  ab  satātī  nahīñ  hai
ḳhafā  hai  karam-farmā  hai  kaun  jaane
havā  jab  diye  ko  bujhātī  nahīñ  hai
agar  ho  ga.e  soch  meñ  aap  būḌhe
to  bārish  badan  ko  jalātī  nahīñ  hai
gumāñ  pyaar  kā  ho  rahā  tab  se  'nīraj'
qasam  jab  se  merī  vo  khātī  nahīñ  hai