nazākat  hai  na  ḳhushbū  aur  na  koī  dilkashī  hī  hai
guloñ  ke  saath  phir  bhī  ḳhaar  ko  rab  ne  jagah  dī  hai
kisī  kī  yaad  chupke  se  chalī  aatī  hai  jab  dil  meñ
kabhī  ghuñghrū  se  bajte  haiñ  kabhī  talvār  chaltī  hai
vahī  karte  haiñ  da.avā  aag  nafrat  kī  bujhāne  kā
ki  jin  ke  haath  meñ  jaltī  huī  māchis  kī  tiilī  hai
haTo  karne  do  apne  man  kī  bhī  in  naujavānoñ  ko
ye  in  kā  daur  hai  in  kā  samay  hai  in  kī  baarī  hai
ghuTan  taḌpan  udāsī  ashk  rusvā.ī  akelā-pan
baġhair  in  ke  adhūrī  ishq  kī  har  ik  kahānī  hai
kabhī  bachchoñ  ko  mil  kar  khilkhilāte  nāchte  dekhā
lagā  tab  zindagī  ye  ham  ne  kyā  se  kyā  banā  lī  hai
utar  aa.e  haiñ  bādal  yaad  ke  āñkhoñ  meñ  yuuñ  'nīraj'
zamīñ  jo  kal  talak  thī  ḳhushk  ab  vo  bhīgī  bhīgī  hai