mushkiloñ  kī  yahī  haiñ  baḌī  mushkileñ
aap  jab  chāheñ  kam  hoñ  tabhī  ye  baḌheñ
ab  koī  dūsrā  rāsta  hī  nahīñ
yaad  tujh  ko  kareñ  aur  zinda  raheñ
bas  isī  soch  se  jhuuT  qaa.em  rahā
bol  kar  sach  bhalā  ham  bure  kyuuñ  baneñ
Dāliyoñ  pe  phudakne  se  jo  mil  ga.ī
us  ḳhushī  ke  liye  kyuuñ  falak  par  uḌeñ
ham  darinde  nahīñ  gar  haiñ  insān  to
aa.ina  dekhne  se  batā  kyuuñ  Dareñ
zindagī  ḳhūb-sūrat  bane  is  tarah
ham  kaheñ  tum  suno  tum  kaho  ham  suneñ
aa  ke  haule  se  chhū  leñ  vo  hoñThoñ  se  gar
to  surīlī  murliyā  se  'nīraj'  bajeñ