jiye  ḳhud  ke  liye  gar  ham  mazā  tab  kyā  hai  jiine  meñ
bahe  auroñ  kī  ḳhātir  jo  hai  ḳhushbū  us  pasīne  meñ
hai  jin  ke  bāzuoñ  meñ  dam  vo  dariyā  paar  kar  leñge
bahut  mumkin  hai  Dūbeñ  vo  jo  baiThe  haiñ  safīne  meñ
ye  kaisā  daur  aayā  hai  saroñ  par  taaj  hai  un  ke
nahīñ  ma.alūm  jin  ko  farq  patthar  aur  nagīne  meñ
hamāre  dostoñ  kī  muskurāhaT  ik  chhalāvā  hai
hai  paaya  zahr  aksar  ḳhūb-sūrat  ābgīne  meñ
gae  tum  duur  jab  se  dil  ye  kahtā  hai  karo  tauba
maza  aatā  nahīñ  ḳhud  hī  uThā  kar  jaam  piine  meñ
sitam  sahne  kī  aadat  is  qadar  ham  ko  paḌī  'nīraj'
kahīñ  kuchh  ho,  nahīñ  ab  khaultā  hai  ḳhuun  siine  meñ