mushkiloñ  meñ  muskurānā  sīkhiye
phuul  banjar  meñ  ugānā  sīkhiye
jo  chale  parcham  uThā  kar  dosto
saath  is  kā  hī  nibhānā  sīkhiye
khiḌkiyoñ  se  jhāñknā  be-kār  hai
bārishoñ  meñ  bhiig  jaanā  sīkhiye
āñdhiyāñ  jab  de  rahī  hoñ  dastakeñ
tab  diye  kī  lau  bachānā  sīkhiye
taak  par  dhar  ke  usūloñ  ko  kabhī
naam  apnā  mat  kamānā  sīkhiye
ḳhāmushī  se  aaj  suntā  kaun  hai
shor  mahfil  meñ  machānā  sīkhiye
Dāliye  dariyā  meñ  yuuñ  mat  nekiyāñ
ab  bhalā  karke  jatānā  sīkhiye
taan  ke  rakhiye  ise  har-dam  magar
us  ke  dar  pe  sar  jhukānā  sīkhiye
un  kī  yādoñ  se  huī  nam  aañkh  ko
aap  duniyā  se  chhupānā  sīkhiye