zabān  par  sabhī  kī  baat  hai  faqat  savār  kī
kabhī  to  baat  bhī  ho  pālkī  liye  kahār  kī
guloñ  ko  titliyoñ  ko  kis  tarah  karegā  yaad  vo
ki  jis  ko  fikr  rāt-din  lagī  ho  rozgār  kī
bigaḌ  ke  jis  ne  pā  liyā  tamām  lutf-e-zindagī
nahīñ  sunegā  phir  vo  baat  koī  bhī  sudhār  kī
vo  ḳhush  rahe  ye  soch  kar  sadā  maiñ  hārtā  gayā
kisī  ke  saath  jab  laḌī  laḌā.ī  ār-pār  kī
jise  bhī  dekhiye  use  vo  toḌ  kar  hī  hai  baḌhā
kahāñ  rahīñ  haiñ  desh  meñ  zarūrateñ  qatār  kī
tujhe  paḌhā  hamesha  maiñ  ne  apnī  band  āñkhoñ  se
ye  dāstān  hai  nazar  pe  raushnī  ke  vaar  kī
chaḌhe  jo  is  qadar  ki  phir  kabhī  utar  nahīñ  sake
talāsh  zindagī  meñ  hai  mujhe  usī  ḳhumār  kī