dard  dil  meñ  magar  lab  pe  muskān  hai
hausloñ  kī  hamāre  ye  pahchān  hai
laakh  koshish  karo  aa  ke  jaatī  nahīñ
yaad  ik  bin  bulā.ī  sī  mehmān  hai
khilkhilātā  hai  jo  aaj  ke  daur  meñ
ik  ajūbe  se  kyā  kam  vo  insān  hai
zar  zamīñ  saltanat  se  hī  hotā  nahīñ
jo  de  bhūke  ko  roTī,  vo  sultān  hai
miir,  tulsī,  zafar,  josh,  mīrā,  kabīr
dil  hī  'ġhālib'  hai  aur  dil  hī  'rasḳhān'  hai
pāñch  kartā  hai  jo,  do  meñ  do  joḌ  kar
āj-kal  sirf  us  kā  hī  gun-gān  hai
DhūñDtā  phir  rahā  phuul  par  titliyāñ
shahr  meñ  vo  nayā  hai  ki  nādān  hai
gar  na  samjhā  to  'nīraj'  lagegī  kaThin
zindagī  ko  jo  samjhā  to  āsān  hai