silsila-dar-silsila  juzv-e-adā  honā  hī  thā
āḳhirash  terī  nazar  kā  mudda.ā  honā  hī  thā
kū-ba-kū  sahrā-ba-sahrā  ham-safar  thā  iztirāb
ik  nayā  mahshar  nayā  ik  hādsa  honā  hī  thā
Das  rahā  thā  terī  yādoñ  kā  musalsal  azhdahā
lahza  lahza  fikr  meñ  ik  sāneha  honā  hī  thā
haath  uTThe  chashm-e-tar  thī  dil  bhī  thā  mahv-e-fuġhāñ
hāshiya-dar-hāshiya  harf-e-duā  honā  hī  thā
khīñch  lī  thī  ik  lakīr-e-nā-rasā  ḳhud  darmiyāñ
fāsla-dar-fāsla-dar-fāsla  honā  hī  thā