duur  tak  ik  sarāb  dekhā  hai
vahshatoñ  kā  shabāb  dekhā  hai
zau-fishāñ  kyuuñ  haiñ  dasht  ke  zarre
kyā  koī  māhtāb  dekhā  hai
baam  o  dar  par  hai  sholagī  raqsāñ
husn  ko  be-naqāb  dekhā  hai
nāma-bar  un  se  bas  yahī  kahnā
nīm-jāñ  ik  gulāb  dekhā  hai
ab  zamīñ  par  qadam  nahīñ  Tikte
āsmāñ  par  uqaab  dekhā  hai
merī  nazroñ  meñ  bāñkpan  kaisā
jāgtā  huuñ  ki  ḳhvāb  dekhā  hai