Tek  lagā  kar  baiThā  huuñ  maiñ  jis  būḌhī  dīvār  ke  saath
ḳhauf  hai  mujh  ko  miT  na  jā.ūñ  us  ke  har  āsār  ke  saath
ġhāza  powder  mal  kar  maiñ  bhī  aa  jaatā  huuñ  surḳhī  meñ
bik  jaatā  hai  chehra  merā  saste  se  aḳhbār  ke  saath
kyuuñ  na  baḌh  kar  maiñ  pī  jā.ūñ  tere  naqlī  sab  tiryāk
phir  tū  dhokā  kar  na  paa.e  bastī  meñ  bīmār  ke  saath
hosh  ke  nāḳhun  le  to  sā.īñ  kyuuñ  ye  ġhauġhā  Daalā  hai
dekh  nahīñ  ab  lai  ye  chaltī  naġhma-e-darbār  ke  saath
kis  ne  tujh  ko  sauñpī  bhaa.ī  sardārī  is  bastī  kī
sab  ke  sab  mahshūr  ye  hoñge  apne  apne  yaar  ke  saath
umr  tamāmī  shauq  se  ham  ne  ek  hī  titlī  paalī  thī
jab  jab  us  ko  ḳhvāb  meñ  dekhā  uḌtī  hai  aġhyār  ke  saath