sadiyoñ  ke  baad  hosh  meñ  jo  aa  rahā  huuñ  maiñ
lagtā  hai  pahle  jurm  ko  dohrā  rahā  huuñ  maiñ
pur-haul  vādiyoñ  kā  safar  hai  bahut  kaThin
le  jā  rahā  hai  shauq  chalā  jā  rahā  huuñ  maiñ
ḳhālī  haiñ  donoñ  haath  aur  dāman  bhī  taar  taar
kyuuñ  ek  musht-e-ḳhāk  pe  itrā  rahā  huuñ  maiñ
shauq-e-visāl-e-yār  meñ  ik  umr  kaaT  dī
ab  baam  o  dar  saje  haiñ  to  ghabrā  rahā  huuñ  maiñ
shāyad  varaq  hai  paḌh  liyā  koī  hayāt  kā
ban  kar  faqīh-e-shahr  jo  samjhā  rahā  huuñ  maiñ
sāhil  pe  baiThā  dekh  ke  maujoñ  kā  iztirāb
uljhī  huī  sī  gutthiyāñ  suljhā  rahā  huuñ  maiñ