Abid Wadood

zaKHm ke rang hain kya meri rida jaanti hai

Abid Wadood

1953
zaḳhm ke rañg haiñ kyā merī ridā jāntī hai
kis ne kī kis se vafā ḳhud ye vafā jāntī hai
ab qafas aur gulistāñ meñ koī farq nahīñ
ham ko ḳhushbū kī talab hai ye sabā jāntī hai
ḳhud-parastī ke mahallāt meñ rahne vaalo
zalzala aane ko hai larzish-e-pā jāntī hai
maiñ nahīñ jāntā daryūza-garī ko lekin
mere lab par hai duā kyā ye duā jāntī hai
kashtī-e-umr mirī Dol rahī hai 'ābid'
sāhil-e-zīst kī ālūda havā jāntī hai
Top Urdushayar.com