Abid Wadood

zaKHm ke rang hain kya meri rida jaanti hai

Abid Wadood

1953

zaḳhm ke rañg haiñ kyā merī ridā jāntī hai

kis ne kis se vafā ḳhud ye vafā jāntī hai

ab qafas aur gulistāñ meñ koī farq nahīñ

ham ko ḳhushbū talab hai ye sabā jāntī hai

ḳhud-parastī ke mahallāt meñ rahne vaalo

zalzala aane ko hai larzish-e-pā jāntī hai

maiñ nahīñ jāntā daryūza-garī ko lekin

mere lab par hai duā kyā ye duā jāntī hai

kashtī-e-umr mirī Dol rahī hai 'ābid'

sāhil-e-zīst ālūda havā jāntī hai

Top Urdushayar.com