Munawar Khan Ghafil

gil hai aariz to qadd-e-yar daraKHt

Munawar Khan Ghafil

gil hai aariz to qadd-e-yār daraḳht

kab ho aisā bahār-dār daraḳht

rashk se ik nihāl qad ke tire

kaT ga.e jal ga.e hazār daraḳht

ḳhvāhish-e-sañg thī jo majnūñ ko

qabr par bhī hai meva-dār daraḳht

kis vahshat ne ḳhaak uḌaa.ī hai

dasht meñ haiñ jo pur-ġhubār daraḳht

dāman-e-yār us se uljhegā

ho na gulshan meñ ḳhār-dār daraḳht

nāla-e-kohkan se jal uTThe

the jo bālā-e-kohsār daraḳht

dast-e-rañgīñ us ke kushta huuñ

ho hinā sar-e-mazār daraḳht

jis jagah dafn thā ye soḳhta-jāñ

na ugā vaañ se zīnhār daraḳht

zīnat-e-ḳhāna-bāġh kaun hai aaj

sajda karte haiñ bār-dār daraḳht

barg malte haiñ jo kaf-e-afsos

kis ke ġham meñ haiñ sogvār daraḳht

gulshan-e-ishq tamāshā dekh

sar-e-mansūr phal hai daar daraḳht

dekheñ gar tere qad bālā.ī

sar uThā.eñ na zīnhār daraḳht

be-samar ik rahā ye naḳhl-e-murād

yuuñ to phūle-phale hazār daraḳht

terī duurī meñ ai gul-e-ḳhūbī

suukh kar ho ga.e haiñ zaar daraḳht

saf-ba-saf haiñ khaḌe jo gulshan meñ

kab se bāñdhe hue qatār daraḳht

dekhte haiñ sū-e-dar-e-gulzār

kis ke haiñ mahv-e-intizār daraḳht

mausam-e-gul hai josh-e-mastī hai

laa.e gulshan meñ barg-o-bār daraḳht

meñ aatā hai mai-kashī kiije

taak kar koī sāya-dār daraḳht

ālam-e-sheb meñ huuñ yuuñ 'ġhāfil'

baaġh meñ jaise be-bahār daraḳht

Top Urdushayar.com