nigāh-e-yār  ham  se  aaj  be-taqsīr  phirtī  hai
kisī  kī  kuchh  nahīñ  chaltī  hai  jab  taqdīr  phirtī  hai
muraqqa.a  hai  mirī  āñkhoñ  meñ  kyā  yārān-e-rafta  kā
jo  nazroñ  ke  tale  har  ek  kī  tasvīr  phirtī  hai
tirā  dīvāna  jab  se  uTh  gayā  sahrā-e-vahshat  se
bagūle  kī  tarah  se  DhūñDhtī  zanjīr  phirtī  hai
tirī  talvār  kā  muñh  ham  se  phir  jaa.e  to  phir  jaa.e
hamārī  aañkh  kab  qātil  tah-e-shamshīr  phirtī  hai
kabhī  to  khīñch  lā.egī  use  gor-e-ġharībāñ  par
ki  muddat  se  hamārī  ḳhaak  dāman-gīr  phirtī  hai
bayāñ  kis  muñh  se  ho.e  yaar  kī  shīrīñ-kalāmī  kā
zabāñ  par  apnī  ab  tak  lazzat-e-taqrīr  phirtī  hai
maqām-e-ishq  meñ  shāh-o-gadā  kā  ek  rutba  hai
zuleḳhā  har  galī-kūche  meñ  be-tauqīr  phirtī  hai
firāqe-e-gul  meñ  itnā  tū  abas  nālāñ  o  muztar  hai
bahār-e-rafta  phir  ai  bulbul-e-dil-gīr  phirtī  hai
dar-e-bāb-e-asar  tak  ek  din  jaate  nahīñ  dekhā
ḳhudā  jaane  kahāñ  ye  āh-e-be-tāsīr  phirtī  hai
ḳhudā  shāhid  hai  is  kā  phir  nahīñ  miltī  nahīñ  miltī
tabī.at  apnī  jis  se  o  but-e-be-pīr  phirtī  hai
ham  us  lailā  ko  dīvāne  haiñ  ai  'ġhāfil'  jo  sahrā  meñ
baġhal  meñ  apne  majnūñ  kī  liye  tasvīr  phirtī  hai