dil-o-dilbar  sahī  ab  ḳhvāb  se  bedār  haiñ  donoñ
sharīk-e-majlis-e-ārā.ish-e-guftār  haiñ  donoñ
chaman  meñ  kyā  huā  gulchīñ  ho  bāgul-kār  kyā  jaane
nazar  aatā  nahīñ  kuchh  nargis-e-bīmār  haiñ  donoñ
nigāh-e-ahl-e-duniyā  ho  ki  chashm-e-nīm-ḳhvāb  un  kī
kabhī  iqrār  haiñ  donoñ  kabhī  inkār  haiñ  donoñ
ibādat-ḳhāna-hā-e-kufr-o-īmāñ  meñ  gayā  lekin
nidā  aa.ī  ki  vāpas  jā  yahāñ  ġhaddār  haiñ  donoñ
jidhar  daulat  kī  kirneñ  haiñ  udhar  jaatā  nahīñ  koī
vo  āshiq  ho  ki  shā.ir  sāya-e-dīvār  haiñ  donoñ
darūn-e-halqa-e-gañg-o-jaman  hai  sher  kī  duniyā
ye  dillī  lucknow  bhī  kuchh  nahīñ  is  paar  haiñ  donoñ
taġhāful  kī  adā  ho  yā  hukūmat  kī  adākārī
burā  kis  ko  kahūñ  mere  liye  sarkār  haiñ  donoñ