aa.ine  ke  rū-ba-rū  ik  aa.ina  rakhtā  huuñ  maiñ
rāt-din  hairat  meñ  ḳhud  ko  mubtalā  rakhtā  huuñ  maiñ
dostoñ  vaalī  bhī  ik  ḳhūbī  hai  un  meñ  is  liye
dushmanoñ  se  bhī  musalsal  rābta  rakhtā  huuñ  maiñ
roz-o-shab  maiñ  ghūmtā  huuñ  vaqt  kī  pur-kār  par
apne  chāroñ  samt  koī  dā.era  rakhtā  huuñ  maiñ
khaTkhaTāne  kī  bhī  zahmat  koī  āḳhir  kyuuñ  kare
is  liye  bhī  ghar  kā  darvāza  khulā  rakhtā  huuñ  maiñ
āj-kal  ḳhud  se  bhī  hai  ranjish  kā  koī  silsila
āj-kal  ḳhud  se  bhī  thoḌā  fāsla  rakhtā  huuñ  maiñ
chand  yādeñ  ek  chehra  ek  ḳhvāhish  ek  ḳhvāb
apne  dil  meñ  aur  kyā  un  ke  sivā  rakhtā  huuñ  maiñ
chand  tasvīreñ  kitābeñ  ḳhushbueñ  aur  ek  phuul
apnī  almārī  meñ  'tābish'  aur  kyā  rakhtā  huuñ  maiñ