kuchh  ne  āñkheñ  kuchh  ne  chehra  dekhā  hai
sab  ne  tujh  ko  thoḌā  thoḌā  dekhā  hai
tum  par  pyaas  ke  ma.anī  khulne  vaale  nahīñ
tum  ne  paanī  pī  kar  dariyā  dekhā  hai
jin  hāthoñ  ko  chūmne  aa  jaate  the  log
aaj  unhīñ  hāthoñ  meñ  kaasa  dekhā  hai
rotī  āñkheñ  ye  sun  kar  ḳhāmosh  huiiñ
malbe  meñ  ik  shaḳhs  ko  zinda  dekhā  hai
baabā  bolā  merī  qismat  achchhī  hai
us  ne  shāyad  haath  tumhārā  dekhā  hai
lagtā  hai  maiñ  pyaas  se  marne  vaalā  huuñ
maiñ  ne  kal  shab  ḳhvāb  meñ  sahrā  dekhā  hai
andhī  duniyā  ko  maiñ  kaise  samjhā.ūñ
in  āñkhoñ  se  maiñ  ne  kyā  kyā  dekhā  hai
qaidī  raat  ko  bhāgne  vaalā  hai  'tābish'
us  ne  ḳhvāb  meñ  ḳhufiya  rasta  dekhā  hai