sub.h  hotī  hai  to  daftar  meñ  badal  jaatā  hai
ye  makāñ  raat  ko  phir  ghar  meñ  badal  jaatā  hai
ab  to  har  shahr  hai  ik  shahr-e-tilismī  ki  jahāñ
jo  bhī  jaatā  hai  vo  patthar  meñ  badal  jaatā  hai
ek  lamha  bhī  Thahartā  nahīñ  lamha  koī
pesh-e-manzar  pas-e-manzar  meñ  badal  jaatā  hai
naqsh  ubhartā  hai  ummīdoñ  kā  falak  par  koī
aur  phir  dhund  kī  chādar  meñ  badal  jaatā  hai
band  ho  jaatā  hai  kuuze  meñ  kabhī  dariyā  bhī
aur  kabhī  qatra  samundar  meñ  badal  jaatā  hai
apne  mafhūm  pe  paḌtī  nazar  jab  us  kī
lafz  achānak  but-e-shashdar  meñ  badal  jaatā  hai