isī  futūr  meñ  karb-o-balā  se  lipTe  hue
tamām  umr  gañvā  dī  anā  se  lipTe  hue
abhī  bhī  mil  na  sakī  in  kī  ḳhāmushī  ko  zabāñ
ye  log  ab  bhī  haiñ  saut-o-sadā  se  lipTe  hue
havā  ke  shahr  meñ  bas  saañs  lene  aate  haiñ
vagarna  ahl-e-zamīñ  haiñ  ḳhalā  se  lipTe  hue
har  ek  samt  lagā  hai  ḳhamoshiyoñ  kā  hujūm
ye  kaun  log  haiñ  koh-e-nidā  se  lipTe  hue
hañsī  bhī  aatī  hai  in  par  taras  bhī  aatā  hai
ye  nafratoñ  ke  pujārī  ḳhudā  se  lipTe  hue
ham  ibtidā  hī  meñ  pahuñche  the  intihā  ko  kabhī
ab  intihā  meñ  bhī  haiñ  ibtidā  se  lipTe  hue
maiñ  zindagī  ke  masā.il  se  laḌnā  chāhtā  huuñ
magar  vo  haath  nigār-e-hinā  se  lipTe  hue
vagarna  ḳhatm  na  hotā  gahan  kabhī  'āzar'
añdhere  ḳhauf-zada  the  ziyā  se  lipTe  hue