Faryad Aazar

sabab thi fitrat-e-insan KHarab mausam ka

Faryad Aazar

Banaras, Uttar pradesh, India

1956

sabab thī fitrat-e-insāñ ḳharāb mausam

farishte jhel rahe haiñ azaab mausam

vo tishna-lab bhī fareb-e-nazar meñ aa.egā

use bhī DhūñD legā sarāb mausam

daraḳht yuuñ agar sabz sabz kaTte rahe

badal na jaa.e zamīñ par nisāb mausam

maiñ jis meñ rah na sakā jī-huzūriyoñ ke sabab

ye aadmī hai usī kāmyāb mausam

isī umiid meñ juuhī se bhar gayā āñgan

ki khilne vaalā hai ab ke gulāb mausam

bahār ho ga.ī phir apne-āp sharminda

kiyā thā dil ne bhī vo intiḳhāb mausam

khulīñ jo niiñd se āñhkeñ hamārī yaañ 'āzar'

guzar chukā thā zamāna bhī ḳhvāb mausam

Top Urdushayar.com