is  tamāshe  kā  sabab  varna  kahāñ  baaqī  hai
ab  bhī  kuchh  log  haiñ  zinda  ki  jahāñ  baaqī  hai
ahl-e-sahrā  bhī  baḌhe  aate  haiñ  shahroñ  kī  taraf
saañs  lene  ko  jahāñ  sirf  dhuāñ  baaqī  hai
zindagī  umr  ke  us  moḌ  pe  pahuñchī  hai  jahāñ
suud  nāpaid  hai  ehsās-e-ziyāñ  baaqī  hai
DhūñDhtī  rahtī  hai  har  lamha  nigāh-e-dahshat
aur  kis  shahr-e-mohabbat  meñ  amaañ  baaqī  hai
maiñ  kabhī  suud  kā  qaa.il  bhī  nahīñ  thā  lekin
zindagī  aur  batā  kitnā  ziyāñ  baaqī  hai
maar  kar  bhī  mire  qātil  ko  tasallī  na  huī
maiñ  huā  ḳhatm  to  kyuuñ  nām-o-nishāñ  baaqī  hai
aisī  ḳhushiyāñ  to  kitāboñ  meñ  mileñgī  shāyad
ḳhatm  ab  ghar  kā  tasavvur  hai  makāñ  baaqī  hai
laakh  'āzar'  raheñ  tajdīd-e-ġhazal  se  lipTe
aaj  bhī  'mīr'  kā  andāz-e-bayāñ  baaqī  hai