adā  huā  na  qarz  aur  vajūd  ḳhatm  ho  gayā
maiñ  zindagī  kā  dete  dete  suud  ḳhatm  ho  gayā
na  jaane  kaun  sī  adā  burī  lagī  thī  ruuh  ko
badan  kā  phir  tamām  khel-kūd  ḳhatm  ho  gayā
muāhade  zamīr  se  to  kar  liye  ga.e  magar
masarratoñ  kā  daura-e-vafūd  ḳhatm  ho  gayā
badan  kī  āstīn  meñ  ye  ruuh  saañp  ban  ga.ī
vajūd  kā  yaqīñ  huā  vajūd  ḳhatm  ho  gayā
bas  ik  nigāh  Daal  kar  maiñ  chhup  gayā  ḳhalāoñ  meñ
phir  is  ke  ba.ad  barf  kā  jumūd  ḳhatm  ho  gayā
majāz  kā  sunahrā  husn  chhā  gayā  nigāh  par
khulī  jo  aañkh  jalva-e-shuhūd  ḳhatm  ho  gayā