Jagdish Sahay Saxena

shukr ki ja hai ki pasti mein yahin tak pahunche

Jagdish Sahay Saxena

shukr kī jā hai ki pastī meñ yahīñ tak pahuñche
āsmāñ se jo gire ham to zamīñ tak pahuñche
hai ye taqdīr kī ḳhūbī ki nigāh-e-mushtāq
pardā ban jaa.e agar parda-nashīñ tak pahuñche
jaam o miinā kī qasam hasti-e-sahbā kī qasam
bāda-kash ek hī laġhzish meñ yaqīñ tak pahuñche
aisī taqdīr kahāñ hai ki nasīm-e-kū-e-dost
bhuul kar raah kisī ḳhāk-nashīñ tak pahuñche
kar chukā rū-e-zamīñ kā jo bashar kaam tamām
ye tamannā hai ki ab charḳh-e-barīñ tak pahuñche
Top Urdushayar.com