haañ  abhī  kuchh  der  pahle  sher  kī  gūñjī  thī  dhaaḌ
ab  to  sannāTā  hai  shāyad  ho  chukī  ho  chīr-phāḌ
jism  se  pahra  haTā  ye  khurdurī  khāleñ  udheḌ
ḳhuun  kī  jhāḌū  se  phir  in  haDDiyoñ  kī  gard  jhaaḌ
zehan  meñ  jab  koī  shīrīñ  kā  tasavvur  aa  gayā
sar  pe  teshoñ  ko  uThā.e  dauḌte  aa.e  pahāḌ
vahshateñ  tārīkiyāñ  rusvā.iyāñ  barbādiyāñ
haa.e  ummīdoñ  kī  bastī  aur  phir  itnī  ujaaḌ
justujū  kī  dhuup  meñ  jo  chalte  chalte  mar  ga.e
un  kī  lāshoñ  ko  uThā  kar  niim  ke  saa.e  meñ  gaaḌ
raat  bhar  ThanDe  thapeḌe  dastakeñ  dete  rahe
sub.h  tak  jaage  na  the  so.e  hue  tere  kivāḌ