tanhā.iyoñ  ke  dard  se  ristā  huā  lahū
dīvār-o-dar  udaas  haiñ  har  shai  hai  zard-rū
ḳhāmoshiyoñ  meñ  Duub  ga.ī  zindagī  kī  shaam
āvāz  de  ke  jaane  kahāñ  chhup  gayā  hai  tū
āñkhoñ  meñ  jāgtī  hī  rahī  niiñd  raat  bhar
chaltī  rahī  ḳhayāl  ke  sahrā  meñ  garm  lū
sāhil  pe  Dūbne  lagī  āb-e-ravāñ  kī  lau
barpā  thā  zard  ret  kā  tūfān  chār-sū
vaadī  meñ  nīlgūñ  sā  dhuāñ  reñgne  lagā
ghabrā  ke  dam  na  toḌ  de  jhīloñ  meñ  justujū
muddat  ke  ba.ad  lauT  ke  aayā  jab  apne  ghar
ik  aks  aa.ine  meñ  ye  kahne  lagā  ki  tū