Asad Jafri

shashdar-o-hairan hai jo bhi KHaridaron mein hai

Asad Jafri

Bhakkar, Punjab, Pakistan

1935
shashdar-o-hairān hai jo bhī ḳharīdāroñ meñ hai
ik sukūt-e-bekarāñ har samt bāzāroñ meñ hai
naubat-e-qaht-e-masīhā.ī yahāñ tak aa ga.ī
kuchh dinoñ se ārzū-e-marg bīmāroñ meñ hai
vo bhī kyā din the ki jab har vasf ik e.azāz thā
aaj to azmat qabāoñ aur dastāroñ meñ hai
uḌ rahe haiñ rañg phūloñ ke faqat is baat par
iltifāt fasl-e-gul kā zikr kyuuñ ḳhāroñ meñ hai
ai mire nāqid mire ash.ār kam-pāya sahī
kam se kam iblāġh to mere suḳhan-pāroñ meñ hai
bujh nahīñ saktī kisī sūrat havas kī tishnagī
bahr-e-be-pāyāñ bhī bārish ke talab-gāroñ meñ hai
ḳhūb-sūrat shakl meñ ham sab darinde haiñ 'asad'
aadmī kahte haiñ jis ko vo abhī ġhāroñ meñ hai
Top Urdushayar.com