maut  se  yaarī  na  thī  hastī  se  be-zārī  na  thī
us  safar  par  chal  diye  ham  jis  kī  tayyārī  na  thī
ham  usī  kī  ḳhaak  se  uTThe  haiñ  kundan  ban  ke  aaj
dosto  jis  shahar  meñ  rasm-e-vafādārī  na  thī
ham  ne  ḳhūn-e-ārzū  de  kar  munaqqash  kar  diyā
varna  dīvār-e-talab  par  aisī  gul-kārī  na  thī
mar  ga.e  sar  phoḌ  ke  dīvār-e-zindāñ  se  asiir
zindagī  kunj-e-qafas  meñ  maut  se  pyārī  na  thī
ab  shikast-e-ārzū  hai  bā.is-e-taskīn-e-dil
is  se  pahle  to  kabhī  ye  kaifiyat  taarī  na  thī
jal  rahā  hai  har  nafs  ab  apne  ġham  kī  aañch  se
saañs  lene  meñ  kabhī  'mohsin'  ye  dushvārī  na  thī