Mohsin Ehsan

asir-e-halqa-e-zanjir-e-jaan hua hai ye dil

Mohsin Ehsan

Peshawar, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1933-2010

asīr-e-halqa-e-zanjīr-e-jāñ huā hai ye dil

kisī pe ronā kahāñ mehrbāñ huā hai ye dil

ik iztirāb-e-musalsal meñ kaT rahī hai hayāt

shikār-e-sāzish-e-sūd-o-ziyāñ huā hai ye dil

jabīñ ba-ḳhāk nahum chashm bar-sitāra-e-sub.h

kabhī zamīn kabhī āsmāñ huā hai ye dil

bahut dinoñ se thī maddham charāġh-e-dard lau

ḳhud apnī aañch se sho.ala-ba-jāñ huā hai ye dil

ḳhumār-e-hijr thā aisā ukhaḌ ga.iiñ sāñseñ

giraft-e-dard thī aisī fuġhāñ huā hai ye dil

jahāñ ne dekhā nahīñ aisā girya-o-mātam

jab apnī maut pe nauha-kunāñ huā hai ye dil

hamārā kyā hai ki bas ham haiñ ek musht-e-ġhubār

khulī fazā jo milī pur-fishāñ huā hai ye dil

ajab qayām-o-safar hai marhala 'mohsin'

Thahar ga.ī hai nazar to ravāñ huā hai ye dil

Top Urdushayar.com