kaise  kaheñ  dar-ba-dar  nahīñ  ham
ghar  meñ  bhī  haiñ  aur  ghar  nahīñ  ham
jo  raah  meñ  saath  chhoḌ  jaa.eñ
aisoñ  ke  to  ham-safar  nahīñ  ham
apnoñ  kī  koī  ḳhabar  na  rakkheñ
itne  bhī  to  be-ḳhabar  nahīñ  ham
uTh  jaa.e  kab  apnā  āb-o-dāna
insāñ  haiñ  koī  ḳhizar  nahīñ  ham
dekheñ  na  uThā  ke  aañkh  us  ko
aise  bhī  to  kam-nazar  nahīñ  ham
sach  hai  ki  ḳhudā  ke  rū-ba-rū  bhī
sharminda  ḳhatāoñ  par  nahīñ  ham
har  an-kahī  baat  sun  rahe  haiñ
dīvār  haiñ  koī  dar  nahīñ  ham