is  kaḌī  dhuup  ke  sannāTe  meñ  hairān  huā
ghar  se  jo  bhī  nikal  aayā  vo  pashemān  huā
hasrateñ  ḳhaak  uḌātī  haiñ  har  ik  qarye  meñ
dil  ki  ik  shahr-e-nigārāñ  thā  bayābān  huā
muddateñ  guzrīñ  to  ik  qatra  guhar  ban  paayā
sadiyāñ  bītīñ  to  kahīñ  aadmī  insān  huā
sar-e-sāhil  the  to  ye  sail-e-balā  kuchh  bhī  na  thā
zad  meñ  jab  aa.e  to  andāza-e-tūfān  huā
ham  sar-e-tūr  bhī  pahuñche  magar  ai  husn-e-azal
tere  milne  kā  na  phir  bhī  koī  imkān  huā
sar  jhukā.e  hue  kyuuñ  baiThe  haiñ  arbāb-e-vafā
marhala  kaun  sā  mushkil  thā  jo  āsān  huā
na  dar-o-bām  pe  raunaq  na  jharokoñ  meñ  bahār
dil-e-vīrāñ  kī  tarah  shahr  bhī  sunsān  huā
tū  bhī  is  ġham-kada-e-dahr  meñ  aa  kar  'mohsin'
bū-e-gul  kī  tarah  āvāra-e-hairān  huā